Raghav - Dastaan lyrics

[Raghav - Dastaan lyrics]

Mujhe lagta tha mujhe sab pata hai yaar
Magar mujhe toh kuchh bhi nhi pata
Hum bass udd rhe hain
Antariksh mein bandar mafik
Meri dikkatein, majbooriyan, kahaniyan
Kuchh bhi nhi hai door se dekho toh
Sab itnasab itna ajeeb hai
Mere dimaag mei kuchh tasveerein hai
Aur voh meri zindagi hai bas?
Yehi hai?

Ghadi ke kaantein chalte jaate
Jo hai banate yeh din
Yuhi yeh baatein tum ho udate
Aur hai nikalta samay

Dilli ki raatein tumhe jagadein
Suno voh tumse keh rhi agar tum chaaho
Tumhe dikha dein taur tareekein
Humnasheen likhi hui
Yeh dastan hai
Jawaani mein abhi toh waqt bacha hai
Mujhe bhi do yeh kya nasha hai
Hawa mein hum hawa mein tum
Bas maza hai tum dhundho usse
Jo na kabhi mill saka dekho kwaab voh
Jo tumne na kabhi socha tha mazil hai voh
Jo deti tumko yеh safar toh chuno dhyaan se
Kahan pe pehn ni hai hathkadi tumhе
Khona pada khud ko paane ke liye
Bada hona pada fir oopar jaane ke liye
Bita yeh saal aur yeh toh kuchh bhi tha nhi
Thoda chhota yeh
Aur chhota hota jaayega abhi lagta tumhe
Jaise tum bhi ho amar
Lekin ant hi toh deta zindagi ko yeh dagar
Aankhein khuli dekha jaa chuka samay
Na voh aayega
Pachhtake ab kya hoga yeh bata!

Ghadi ke kaantein chalte jaate
Jo hai banate yeh din yuhi yeh baatein
Tum ho udate aur hai nikalta samay

Interpretation for


Add Interpretation

Add extended interpretation

If you know what the artist is talking about, can read between the lines, and know the history of the song, you can add interpretation to the lyrics. After checking by our editors, we will add it as the official interpretation of the song!

Latest added interpretations to lyrics

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Interpret