Talha Anjum - Aazma Le (feat. Talhah Yunus, Bilal Ali) lyrics

Talha Anjum Rasheed

Talhah Yunus

[Talha Anjum - Aazma Le feat. Talhah Yunus, Bilal Ali lyrics]

Khud se bhi mila kare
Sarr utha ke chala kare
Khuda ke tareeke hum nahi samajh sakte hum usse kya gila kare
Duniya sang dil banti meri dushman
Hum kam-az-kam khud se hi sulah kare
Kam bola kare zyada suna kare
Rab deta hai maafi phir gunaah kare
Ye taqaat thikaane badal sakti
Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti
Likhaari jaan leva hun par likhayi hi roj ab jeene ka sabab deti
Warna zindagi mauke toh kam deti
Mehfilo mein toh ronak bhi humse thi

Idhar hustle karte karte pura din gaya
Urdu rap main urdu rap mere bin kya
Facts hai ye flex nahi
Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi
Wo habib hai mere toh mujhse durr kyun
Wo hareef hai mere toh unki khair nahi
Aaj kal bheje mujhe text sab
Whatsapp pe they wanna know what's up
Meri zindagi kitno ki hasrat
Main misaal mera naam lete maslan

Dil phenk ke na dil todd billboard pe ab dikhe shakal inko
Mera bank balance lagta tha pin code
Ab safar dekh sirf sifar gin tu
Aye I belong here jaane ka mood nahi hai
Headlines hum teri koi news nahi hai
Kya wo sunte par karte mehsoos nahi ye
Waade toote par toote asool nahi ye

Jo bhi hustle thi gayi wo fuzool nahi hai
Lekin duniya toh faani hai bhool nahi ye
Hum fanaa huye iss fanoon ki khaatir
Paagalpan ki hadd tak junoon bhi hai
Tum subh rakh lo main shab rakhta hun
Main jalwa jalaal aur karb rakhta hun
Iss hi dil mein rakhta hun dard apno ka
Dil ka ek khaana ab sard rakhta hun
Zarurat aur khwahish mein farq rakhta hun
Hisaab se lafzo mein harf rakhta hun
Dildaar hun main bada par dil shikasta hun
The joke is on you main tum pe hasta hun

Sehma tha dil par tha yaqeen
Ladkhadate kadam par rasta wohi
Siyaahi mein doobi zindagi toh seekha udna tabhi

Aazma le zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
Aazma le zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi

Baate ye mukhtasar main karta raha mustaqil
Nahi hote mushtamil kahani ye mukhtalif
Ye khwaab huye muntaqil kaghaz mushtail
Urdu rap aur main uska dil munafiq jo munfail
Log muntazir they iss qadar phir kis ka darr
Hum muntakhab sab muntashar jab chunte lafz
Ab sunte sab ye khush khabar jo bad nazar wo darguzar
Ye dhunn pakad kyun besabar kyun be asar tu le sabaq
Ab befikar ye sher ar motabar ho beshtar
Ho der jab toh be adab ye khel ab
Lagta na mumkin

Main aur mere khwaab jeena chahta hun main khul ke
Qalam ye azaad yahan nizaam saare ulte
Lagi jaise aag shehar baarishon mein dhulte
Dil mein ho dard jab yahan kalakaar rulte
Zindagi paheli bujho jaano kitne uljhe
Andhere mein chiraag jaise hi ye lehja sulge
Kate mere parr phir bhi jaane kaise udte

Mujhe udne de toote jo dil aaj wo judne de
Inn aankhon ko khushiyon se bharne de
Alfaaz mere dil mein utarne de
Manzil toh khush ho theharne pe
Ye ghar mera jadd ko na marne de
Ubhrenge suraj ye dhalne de
Waqt lage khud ko balalne mein

Magar waqt ye badalta hai
Safar ye taveel beshak nange pair chalta reh
Chubhe pade qeel Khuda zakhmo ko bharta reh
Khud pe yaqeen hai toh zamane se ladta reh
Tha hi na kuch khone ko har ek gully har ek kone ko
Main karta hun mutaasir apni baaton se chal hone do
Jo so rahe the sone do main likhne baitha pauney do
Raatein na mili sone ko in khwaabon ko pirone do
Dekha tha jo kal wo toh jee raha hun aaj main
Likhe asal haadse saare bane hai khaak se
Jaana hai humne khaak mein ye ilam mera baant de
Nahi koi bade baap ke hai fakhar apne baap pe
Aaj bhi iss shayari mein saadgi jazbaat bhi aur ye ehsaas bhi
Hai sabar ka phal meetha aaj bhi
Ye hunar dilon ki awaaz bhi

Sehma tha dil par tha yaqeen
Ladkhadate kadam par rasta wohi
Siyaahi mein doobi zindagi toh seekha udna tabhi

Aazma le zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
Aazma le zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi

Interpretation for


Add Interpretation

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Interpret