Pardhaan - Meri Baari Hai lyrics

[Pardhaan - Meri Baari Hai lyrics]

Duniya gol hai aaj maine maan liya
Wahi par pohncha hoon jahan se start kiya

Tha jhujaru ab main haar gaya
Itne dino ka sangharsh barbaad gaya

Aan! Main aapa kho raha hoon
Jagta hoon kam zyada so raha hoon
Kayarta ki charm seema paar
Logon ko chup karata tha
Aaj khud main ro raha hoon

Gumnaami ka andhera behtar hai
Likhna nahi faida kuch bhi kehkar hai

Be-fizool ki utha li jimmewari maine
Tez kulhaadi karke uspe gardan maari maine

Har nazar gadi mujh par nazar lagi mujhe
Main neeche hoon ya sabse upar
Khabar nahi mujhe



The robhwaaw ghabrahat ke mere muh pe
Kheench ke rakhta hoon aajkal
Main kaan khud ke
Upar se vishvaas uth ta ja raha hai
Reeni hoon tumhara bhai ga raha hai

Rahu baith sar par ketu aane wala hai
Kismat khuli nahi kabhi laga uspar taala hai

22 saalon se fasa hoon is zindagi mein
Main hoon akela berozgar hoon apni gali mein
Naseehat dete log saath nahi deta koi
Vaada karte dete tod jaisa hai neta koi

Dhoondne mein laga khazana kuber ka
Waqt ki barbaadi karta hosh nahi dеr ka

Museebat mein nahi
Main khud hi museebat hoon
Khushiyan khareedni hai bolo kya keemat doon

Kya jiwan mera hoga theek hai mujhe shak
Khud ki khushi hai khudkushi mеra haq

Buzdil nahi baatein jo kahi ek soch hai
Sab ek railgaadi mein sawaar
Bas alag coach hai

Aaj dukh mein hoon agla padaaw kaamyabi
Main asli pita tumhara tumhe khabar zara bhi?

Jaante nahi beshak se sunte mere gaane
Na rakho dil-chaspi agar koi meri maane
Thaane thaane mein likha hai mera naam
Bura insaan jo karta bas ache kaam
Shaam hote hi aa jaati mujhe teri yaad
Kasam se mohabbat nahi huyi tere baad
Jo tere saath tha mera naam mitana hai
Khud ko bhoola hoon yaad dilana hai

Asal mein kho jana hi manzil paana hai
Main poora paagal ye duniya pagalkhana hai

Aakhein masal li maine ki poori taiyari hai
Door karni hai dikkatein jitni bhi saari hai

Sab kuch karna hai theek
Koshish meri jaari hai
Sab se peeche khada tha ab meri baari hai
Meri baari hai meri meri baari hai
Sab se peeche khada tha ab meri baari hai
Meri baari hai meri meri baari hai
Sab se peeche khada tha ab meri baari hai

Badbola hoon mujhe lena dena kya hoti taal
Kalam se wafadaari nahi chodi filhaal
Dhanyavaad, tahe dil se karta
Hoon shrota gano ka
Jinho ne saraakhon pe rakhe
Khurafaati mere khayal

Ab lekin mujhko pachtana nahi hai phir se
Akela hi acha hoon door bhaagu mehfil se
Badi mushkil se ab jaake suni hai dil ki
Acha laga mujhko aaj khud-e se mil ke

Dheeraj se yam sanjeedgi
Sab ki naak mein dum kiya
Aankhon mein jhonki dhool aur kaam kam kiya

Aab laangna hai kshamtaaon ko
Aadaton ka karna hai ulanghan
Daridarta ko chhod mehnat se
Sapna karna hai sampann

Dum-kham kum nahi bas jeet ki tarkaar hai
Dil aur dimag mere dono bimar hai
Mujhse milte julto ki tadaad bharmaar hai
Aap ke samaksh ye kuch mere vichar hai

Interpretation for


Add Interpretation

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z #
Interpret